Kahan to tay tha chiragan harek ghar ke liye - Dushyant Kumar

कहाँ तो तय था चरागाँ हर एक घर के लिए
- Hindi poem by Dushyant Kumar (दुष्यंत कुमार)

कहाँ तो तय था चरागाँ हर एक घर के लिए
कहाँ चराग मयस्सर नहीं शहर के लिए

यहाँ दरख्तों के साए में धूप लगती है
चलो यहाँ से चले और उम्र भर के लिए

न हो कमीज तो घुटनों से पेट ढक लेंगे
ये लोग कितने मुनासिब हैं इस सफर के लिए

खुदा नहीं न सही आदमी का ख्वाब सही
कोई हसीन नजारा तो है नजर के लिए

वो मुतमइन हैं कि पत्थर पिघल नहीं सकता
मैं बेकरार हूँ आवाज में असर के लिए

तेरा निज़ाम है सिल दे ज़ुबान शायर की
ये एहतियात ज़रूरी है इस बहर के लिए

जिएँ तो अपने बगीचे में गुलमोहर के तले
मरें तो गैर की गलियों में गुलमोहर के लिए

Kahan to tay tha chiragan harek ghar ke liye by Dushyant Kumar

Kahan to tay tha chiragan harek ghar ke liye

Kahan to tay tha chiragan har ek ghar ke liye
Kahan chirag mayssar nahin shahar ke liye

Yahan darkhton ke saye main dhoop lagti hai
Chalo yahan se chalen aur umar bhar ke liye

Na ho kameez to ghutno se pet dhak lenge
Ye log kitne munasib hain, is safar ke liye

Khuda nahin, n sahi, aadmi ka khwab sahi
Koi haseen nazara to hai nazar ke liye

Ve mutmaeen hain ki ptthar pighal nahi sakta
Main bekrar hoon aawaz men asar ke liye

Tera nizam hai sil de zuban shayar ki
Ye ehtiyat zaruri hai is bahar ke liye

Jiyen to apne bgheeche main gulmohar ke tale
Maren to gair ki galiyon main gulmohar ke liye

hindi-poems